baadban ko gila hawaon se
aur mujh ko hai na-KHudaon se
dushmanon se bhi ab nahin laDta
pahle laDta tha main hawaon se
ganw mein lag raha hai phir mela
bachche bichhDenge kitne maon se
log mehnat ke beach boenge
jab bhi fursat mili duaon se
habs se bujh gaya diya ghar ka
main bachata raha hawaon se
mere kheton ko is dafa 'arif'
kitni ummid thi ghaTaon se
Ghazal
Baadban ko gila hawaon se
Arif Shafiq