baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna
main samundar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bichhaDna bhi bahut aasan na tha us se magar
jate jate us ka wo muD kar dobara dekhna
kis shabahat ko liye aaya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna
kya qayamat hai ki jin ke nam par paspa hue
un hi logon ko muqabil mein saf-ara dekhna
jab banam-e-dil gawahi sar ki mangi jaegi
KHun mein Duba hua parcham hamara dekhna
jitne mein bhi jahan ji ka ziyan pahle se hai
aisi bazi haarne mein kya KHasara dekhna
aaine ki aankh hi kuchh kam na thi mere liye
jaane ab kya kya dikhaega tumhaara dekhna
ek musht-e-KHak aur wo bhi hawa ki zad mein hai
zindagi ki bebasi ka istiara dekhna
Ghazal
Baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna
Parveen Shakir