baadalon ke beach tha main be-sar-o-saman na tha
tishnagi ka zahr pi lena koi aasan na tha
kya qayamat-KHez tha dariya mein maujon ka hujum
sahilon tak aate aate phir kahin tufan na tha
jaane kitni dur us ki lahar mujh ko le gai
main samajhta tha ki wo dariya-e-be-payan na tha
har taraf patjhaD ki aawazon ki chadar tan gai
dasht mein meri sada ka jism bhi uryan na tha
is ke rang-o-saut ke jugnu the daman mein 'alim'
kho ke sab kuchh aane wala bhi tahi-daman na tha
Ghazal
Baadalon ke beach tha main be-sar-o-saman na tha
Alimullah Hali