اردو हिंदी
Baadal hai aur phul khile hain sabhi taraf | Shaahi Shayari
baadal hai aur phul khile hain sabhi taraf

Ghazal

Baadal hai aur phul khile hain sabhi taraf

Basir Sultan Kazmi

;

baadal hai aur phul khile hain sabhi taraf
kahta hai dil ki aaj nikal ja kisi taraf

tewar bahut KHarab the sunte hain kal tere
achchha hua ki hum ne na dekha teri taraf

jab bhi mile hum un se unhon ne yahi kaha
bas aaj aane wale the hum aap ki taraf

ai dil ye dhaDkanen teri mamul ki nahin
lagta hai aa raha hai wo fitna isi taraf

KHush tha ki chaar nekiyan hain jama us ke pas
nikle gunah bisiyon ulTa meri taraf

'basir' adu se hum to yunhi bad-guman rahe
tha un ka iltifat kisi aur hi taraf