baadal chhaTe to raat ka har zaKHm wa hua
aansu ruke to aankh mein mahshar bapa hua
sukhi zamin pe bikhri hui chand pattiyan
kuchh to bata nigar-e-chaman tujh ko kya hua
aise baDhe ki manzilen raste mein bichh gain
aise gae ki phir na kabhi lauTna hua
ai justuju kahan gae wo hausle tere
kis dasht mein KHarab tera qafila hua
pahunche pas-e-KHayal to dekha ki ret par
KHema tha ek phul ki surat khila hua
aai shab-e-siyah to diye jhilmila uThe
tha raushni mein shahr hamara bujha hua
Ghazal
Baadal chhaTe to raat ka har zaKHm wa hua
Wazir Agha