baadal ambar pe na dharti pe shajar hai baba
zindagi dhup mein sahra ka safar hai baba
tum kahan aa gae shishon ki tamanna le kar
ye to ek sang-faroshon ka nagar hai baba
hum hain qaid-e-dar-o-diwar se aazad hamein
jis jagah raat guzari wahi ghar hai baba
man ho darwesh to phir tan pe qaba ho ki aba
jog bana nahin andaz-e-nazar hai baba
batn har sang mein dekhe jo koi paikar-e-naz
kis ko hasil wo sanam-saz-nazar hai baba
soch kar dasht-e-tamanna mein qadam rakh 'sabir'
is maruthal mein ba-har-gam KHatar hai baba
Ghazal
Baadal ambar pe na dharti pe shajar hai baba
Nau Bahar Sabir