baada-KHane ki riwayat ko nibhana chahiye
jam agar KHali bhi ho gardish mein aana chahiye
aaj aana hai unhen lekin na aana chahiye
wada-e-farda usulan bhul jaana chahiye
tark karna chahiye hargiz na rasm-e-intizar
muntazir ko umr bhar shamen jalana chahiye
jazb kar lete hain achchhi suraton ko aaine
aainon se kiya tumhein aankhen milana chahiye
mere us ke bich jo haalat ki diwar hai
mujh ko us diwar mein ek dar banana chahiye
phir karam-agin tabassum mein hai poshida sitam
hosh-mandon ko paheli bujh jaana chahiye
gardish-e-haalat se mayus hona kufr hai
umr bhar insan ko qismat aazmana chahiye
meri ghazlen hongi kal na-mahramon ke darmiyan
us ki KHushbu meri ghazlon mein na aana chahiye
hum to qail hi nahin mahdud-e-ulfat ke 'alim'
hum ko ulfat ke liye sara zamana chahiye
Ghazal
Baada-KHane ki riwayat ko nibhana chahiye
Aleem Usmani