اردو हिंदी
Baada-kashi ke sikhlate hain kya hi qarine sawan-bhadon | Shaahi Shayari
baada-kashi ke sikhlate hain kya hi qarine sawan-bhadon

Ghazal

Baada-kashi ke sikhlate hain kya hi qarine sawan-bhadon

Shah Naseer

;

baada-kashi ke sikhlate hain kya hi qarine sawan-bhadon
kaifiyyat ke hum ne jo dekha do hain mahine sawan-bhadon

dekhe na honge aaj talak ye aise kisi ne sawan-bhadon
chashm ki daulat hum ko rahe hain bara mahine sawan-bhadon

chhuTe hain fawwara-e-mizhgan roz-o-shab in aankhon se
yun na baraste dekhe honge mil ke kisi ne sawan-bhadon

Tankne ko phirti hai bijli is mein goT tamami ki
daman-e-abr ke TukDon ko jab lagte hain sine sawan-bhadon

bhule dam ki aamad-o-shud hum yaad kar us jhule ki pengen
sujhe hai be-yar na denge aah ye jine sawan-bhadon

kyunki na ye durha-e-tagarrag ai baada-parasto! barsaen
kan-e-guhar chhaT zar ke nahin rakhte ganjine sawan-bhadon

kan-e-jawahar kyunki na samjhe khet ko dahqan olon se
barsate hain motiyon mein hiron ke nagine sawan-bhadon

abr-e-siyah mein dekhi thi baglon ki qatar is shakl se hum ne
yaad dilae phir ke tere dandan o misi ne sawan-bhadon

khet rakhegi aaKHir ek din furqat dahqan-pisar ki 'nasir'
karte hain jun gandum shaq mughalon ke sine sawan-bhadon