baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha
ek aalam be-KHudi ka tere diwane mein tha
jalwa farmata wo kabe mein na but-KHane mein tha
DhunDhta tha jis ko main wo dil ke kashane mein tha
hasraten thin raqs mein saz-e-tarab thi aah-e-dil
aish duniya-bhar ka mere ek gham-KHane mein tha
puchhta kya hai haqiqat us ki mujh se mohtasib
kya bataun main tujhe kya mere paimane mein tha
josh-e-wahshat mein thi us ki justuju donon taraf
ek qadam mera tha ghar mein ek virane mein tha
har ghaDi thi jis ke jalwe ki nigahon ko talash
nur us ka aankh mein wo dil ke kashane mein tha
surKH Dore aa gae pite hi saqi aankh mein
ye mai-e-gul-rang thi ya KHun paimane mein tha
la saka ai shama dam-bhar bhi na tab-e-soz-e-ishq
KHak hone ke siwa kya KHak parwane mein tha
aur kya kabe mein milta sang-e-aswad ke siwa
DhunDhta tha jis ko tu zahid wo but-KHane mein tha
naghma-e-haq ki sada har-dam kiye deti thi mast
kis maze ka ek tarannum dil ke paimane mein tha
meri rahat ka zariya thin meri aazadiyan
wo qadam tha aish-KHane mein jo virane mein tha
kaund kar girti thin dil par har taraf se bijliyan
ek naya andaz un ke tegh chamkane mein tha
chashm-e-haq-bin ke liye hain ek hi dair-o-haram
saf kabe mein nazar aaya jo but-KHane mein tha
ab wo rang-e-baada-e-ulfat ilahi kya hua
joshish-e-hubb-e-watan jo dil ke paimane mein tha
kya kahun kis shai ne 'raunaq' kar diya mast-e-alast
tha wo ek rang-e-mai-e-irfan jo paimane mein tha

Ghazal
Baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha
Piyare Lal Raunaq Dehlwi