اردو हिंदी
Baada-e-KHum-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun | Shaahi Shayari
baada-e-KHum-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun

Ghazal

Baada-e-KHum-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun

Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

;

baada-e-KHum-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun
chor hun masti mein aisa be-KHud-o-madhosh hun

gird phirne de mujhe saqi ye mera farz hai
misl-e-saghar daur mein hun baada-e-sar-josh hun

tarz-e-KHamoshi meri batlati hai is raaz ko
hun nawasanj-e-haqiqat lakh main KHamosh hun

dard-mand-e-ishq ho kar zabt ka KHugar hun main
surat-e-simab ho kar paikar-e-KHamosh hun

kis ki furqat wasl kis ka aur hai mashuq kaun
'shad' main is aalam-e-takwin ka ham-aghosh hun