baada-e-gul ko sab andoh-ruba kahte hain
ashk-e-gul rang mein Dhal jae to kya kahte hain
fursat-e-bazm bhi malum ki arbab-e-nazar
shola-e-shama ko hum dosh-e-saba kahte hain
ye musalsal tera paiman teri paiman-shikani
hum ise hasil-e-paiman-e-wafa kahte hain
qasr-e-azadi-e-insan hi sahi mai-KHana
dar-e-mai-KHana ki zanjir ko kya kahte hain
ye rah-e-gham ke KHam-o-pech ajab hain jin ko
KHush-nazar saya-e-gesu-e-rasa kahte hain
ishq KHud apni jagah mazhar-e-anwar-e-KHuda
aql is soch mein gum kis ko KHuda kahte hain
koi kis dil se bhala un ka bura chahega
jo bhale log buron ko bhi bhala kahte hain
dil-nashin tere siwa koi nahin koi nahin
kaun hain wo jo tujhe dil se juda kahte hain
yahi diwana jo phulon se bhi katraata hai
kya isi ko 'rawish'-e-abla-pa kahte hain
Ghazal
Baada-e-gul ko sab andoh-ruba kahte hain
Ravish Siddiqi