baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain 
kanghi karti hui reshmi zulf mein meri betab si ungliyan so gain 
aaj alhaD pujaran wo aai nahin dil ke mandir mein ghanTi bajai nahin 
aas ke sab diye TimTimane lage mere jazbaat ki ghanTiyan so gain 
ab fazaon mein KHushbu mahakti nahin ab wo pagal hawaen thirakti nahin 
ek to kar gai kya akela mujhe lahlahati hui wadiyan so gain 
us ke hathon mein chuDi khanakti nahin us ke pairon mein pael jhanakti nahin 
chhoD di main ne jab se gali pyar ki us ke kanon ki bhi baaliyan so gain 
ek nadi ke kinare base ganw mein guzra bachpan mera chand ki chhanw mein 
hum baDe jab hue ajnabi ho gae dil ke mandir ki sab dewiyan so gain 
ghaT dil ka mere aaj sunsan hai koi gopi nahane ab aati nahin 
meri murli ki dhun ab larazne lagi mere madhuban ki sab gopiyan so gain 
aam ke peD shadab hain aaj bhi baurte aur phalte bhi hain wo magar 
ab wo jhule kahan ab wo kajri kahan wo lachakti hui Daliyan so gain
        Ghazal
Baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain
Ateeq Anzar

