baad muddat ke wo mila hai mujhe
Dar judai ka phir laga hai mujhe
aa gaya hun main dastaras mein teri
apne anjam ka pata hai mujhe
kya karun ye kabhi nahin kahta
jo karun us pe Tokta hai mujhe
tujh se mil ke main jab se aaya hun
har koi muD ke dekhta hai mujhe
ab talak kuchh waraq hi palTe hain
tujh ko ji bhar ke banchna hai mujhe
Thokaren jab kabhi main khata hun
kaun hai wo jo thamta hai mujhe
sochta hun ye soch kar main use
wo bhi aise hi sochta hai mujhe
main tujhe kis tarah bayan karun
ye karishma to sikhna hai mujhe
nind mein chal raha tha main 'niraj'
tu ne aa kar jaga diya hai mujhe
Ghazal
Baad muddat ke wo mila hai mujhe
Neeraj Goswami