baad muddat ke mere aankh se aansu nikle
KHushk sahra mein jo pani gire KHushbu nikle
ashk sukhe hue galon pe kaji se nikle
raqs karte hue sahraon mein aahu nikle
tere diwane ke diwanon ke diwane hain
teri kya baat karen baaton se KHushbu nikle
tere maiKHane mein jo aaj uchhaala saghar
ek qatre ke mere saikDon pahlu nikle
saqiya tu ne jo kal di thi mujhe kam di thi
aaj nikle to faqat le ke taraazu nikle
nind se chur zamane ki daraKHshan ho hayat
ghar se angDaiyan leta hua gar tu nikle

Ghazal
Baad muddat ke mere aankh se aansu nikle
Sarwar nepali