baad muddat ke khula jauhar-e-nayab mera
jo andhere mein tha raushan hua wo bab mera
main zamin walon ki aankhon mein bhara hun lekin
aasman walon ne dekha hai koi KHwab mera
itr-afshani-e-qurbat se thi mamur faza
jazba-e-qatra-e-KHun kab hua sairab mera
kitne dariyaon pe tha kali ghaTaon ka julus
ek ek bund ka pyasa raha talab mera
mutmain ho gae ahbab mere KHush hai zamin
ek nai samt jo beDa hua gharqab mera
sab ke honTon pe gulabon ka tabassum tha 'saba'
mutmain main hun ki har zaKHm hai shadab mera
Ghazal
Baad muddat ke khula jauhar-e-nayab mera
Aleem Saba Navedi