اردو हिंदी
Baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya | Shaahi Shayari
baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya

Ghazal

Baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya

Fitrat Ansari

;

baad muddat ke KHayal-e-mai-o-mina aaya
zindagi phir mujhe jine ka qarina aaya

har nafas zist ke mathe pe pasina aaya
ye bhi jina hai ki aisa hamein jina aaya

kitne pahlu nazar aa jaen na jaane dil ke
aaina-saz ke hathon mein nagina aaya

phir sar-e-bazm koi jam-ba-kaf aata hai
tark-e-tauba ke tasawwur pe pasina aaya

tohamat-e-baada-parasti ka saza-war hua
tera mai-kash jise do ghunT na pina aaya

chehra-e-waqt se ulTi na gai hum se naqab
kaam apne na kabhi dida-e-bina aaya

tishna-lab rakkha teri chashm-e-karam ne saqi
jab mujhe baada-parasti ka qarina aaya

un ki aankhon mein chhalak aae hain aansu 'fitrat'
mere daman mein umidon ka KHazina aaya