baad-e-murdan ki bhi tadbir kiye jata hun
apni qabr aap hi tamir kiye jata hun
chain mutlaq nahin paDta shab-e-hijran mein mujhe
subh tak nala-e-shab-gir kiye jata hun
afw par afw ki rezish hai udhar se har dam
aur main taqsir pe taqsir kiye jata hun
us ke kuche mein jo dekhega karega mujhe yaad
apni surat ki main taswir kiye jata hun
uTh ke ta-kucha-e-laila se na jawe ye kahin
panw mein qais ke zanjir kiye jata hun
koi le jae ise ya ki na le jae pa main
nama-e-shauq ki tahrir kiye jata hun
us ka kya jurm mere hosh gae hain kaise
jo alam ghair pe shamshir kiye jata hun
pesh jati nahin yun bhi meri us se har-chand
sharr-o-makr-o-fan-o-tazwir kiye jata hun
naqsh-e-hub chaal se nikal hai meri is KHatir
main pari-zadon ki tasKHir kiye jata hun
'mushafi' yar tu sunta nahin aur wahshi sa
haal ki apne main taqrir kiye jata hun
Ghazal
Baad-e-murdan ki bhi tadbir kiye jata hun
Mushafi Ghulam Hamdani