اردو हिंदी
Baad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun | Shaahi Shayari
baad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun

Ghazal

Baad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun

Shah Naseer

;

baad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun
ishq ki sarkar se malbus-e-ruswai mila

KHub sa sidha banega dekh ai sarw-e-chaman
us ki ranai se mat tu apni zebai mila

jal gaya parwana jis dam mahfil-arai ke sath
KHak mein sab shama ne di mahfil-arai mila

tala-e-bedar ki minnat uThane bhi na di
is se shab hum ko tamanna KHwab mein lai mila

apni qismat mein azal se thi likhi sar-gashtagi
gard-o-baad-asa jo kar-e-dasht-paimai mila

wah-wa rahmat hai us ko aur mujh ko aafrin
rah mein ban kar asa jo KHar-e-sahrai mila

dast-giri bhi na ki tu ne ki jo naqsh-e-qadam
KHak mein main teri KHatir ai tawanai mila

sar-kashi ai charKH mat kar dekh pesh-e-'aftab'
KHak mein dega ye sari teri KHud-arai mila