اردو हिंदी
Bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai | Shaahi Shayari
bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai

Ghazal

Bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai

Parveen Shakir

;

bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai
tahniyat ai dil ki ab diwar dar hone ko hai

khol den zanjir-e-dar aur hauz ko KHali karen
zindagi ke bagh mein ab sah-pahar hone ko hai

maut ki aahaT sunai de rahi hai dil mein kyun
kya mohabbat se bahut KHali ye ghar hone ko hai

gard-e-rah ban kar koi hasil safar ka ho gaya
KHak mein mil kar koi lal-o-guhar hone ko hai

ek chamak si to nazar aai hai apni KHak mein
mujh pe bhi shayad tawajjoh ki nazar hone ko hai

gum-shuda basti musafir lauT kar aate nahin
moajaza aisa magar bar-e-digar hone ko hai

raunaq-e-bazar-o-mahfil kam nahin hai aaj bhi
saneha is shahr mein koi magar hone ko hai

ghar ka sara rasta is sarKHushi mein kaT gaya
is se agle moD koi ham-safar hone ko hai