ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein
ai jafa-dost ye kya dekh raha hun tujh mein
tu ne ab tak mujhe kanTon ke siwa kuchh na diya
main to ek phul ki manind khila hun tujh mein
tu wo dariya hai ki jis ka koi sahil hi nahin
main safine ki tarah Dub gaya hun tujh mein
mera dawa hai ki tu ne bhi na dekhe honge
aise jalwe ki jo main dekh chuka hun tujh mein
tujh se bichhDe to zamana hua lekin ab tak
yaad aata hai ki kuchh bhul gaya hun tujh mein
tere chehre se haTai nahin jatin nazren
kya KHabar der se kya dekh raha hun tujh mein
pas itna ki teri sans se Takraati hai sans
dur itna ki tujhe DhunDh raha hun tujh mein
bewafa teri zaban par ye wafa ki baaten
aisa lagta hai ki main bol raha hun tujh mein
Ghazal
Ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein
Shamim Jaipuri