اردو हिंदी
Ba-wafa koi koi hota hai | Shaahi Shayari
ba-wafa koi koi hota hai

Ghazal

Ba-wafa koi koi hota hai

Raheel Farooq

;

ba-wafa koi koi hota hai
main bhi tha koi koi hota hai

qadr kar meri qadr kar zalim
dil-jala koi koi hota hai

ibn-e-adam ke rog bahutere
la-dawa koi koi hota hai

kaun zalim nahin zamane mein
aap sa koi koi hota hai

dil mein kahe na chor ghar karte
dar bhi wa koi koi hota hai

jis tarah hum hain aap ke sarkar
ba-KHuda koi koi hota hai

sab ka hota hai dard koi na koi
dard ka koi koi hota hai

aaina aap aaina-bin aap
dekhna koi koi hota hai

yun to qatil hain an-ginat 'rahil'
aashna koi koi hota hai