اردو हिंदी
Ba-samar hone ki ummid pe baiTha hun main | Shaahi Shayari
ba-samar hone ki ummid pe baiTha hun main

Ghazal

Ba-samar hone ki ummid pe baiTha hun main

Qasim Yaqub

;

ba-samar hone ki ummid pe baiTha hun main
apni taqdir mein barani ilaqa hun main

hiddat-e-lams mujhe aatish-e-ehsas laga
barf-alud hawaon ka jamaya hun main

mere kirdar ko is daur ne samjha hi nahin
qissa-e-ahd-e-guzishta ka hawala hun main

umr hai rassi pe chalte hue shole ki tarah
khel mein gend pakaDta hua bachcha hun main

hansta hun khelta hun chiKHta hun rota hun
itne mutazad rawayyon ka Thikana hun main

har nae pat ki aamad ki KHushi mujh se hai
aur har jhaDti hui shaKH ka sadma hun main

aise mahaul ka hissa hun jo mera nahin hai
kabhi fariyaad sarapa kabhi shikwa hun main