ba-zahir yun to main simTa hua hun
agar socho to phir bikhra hua hun
mujhe dekho tasawwur ki nazar se
tumhaari zat mein utra hua hun
suna de phir koi jhuTi kahani
main pichhli raat ka jaga hua hun
kabhi bahta hua dariya kabhi main
sulagti ret ka sahra hua hun
jab apni umr ke logon mein baiThun
ye lagta hai ki main buDha hua hun
kahan le jaegi 'tabish' na jaane
hawa ke dosh par Thahra hua hun
Ghazal
Ba-zahir yun to main simTa hua hun
Zafar Tabish