ba-zahir ye wahi milne bichhaDne ki hikayat hai
yahan lekin gharon ke bhi ujaDne ki hikayat hai
sipah-salar kuchh likhta hai taswir-e-hazimat mein
magar ye to adu ke panw paDne ki hikayat hai
kaniz-e-be-nawa ne ek shahzade ko chaha kyun
mohabbat zinda diwaron mein gaDne ki hikayat hai
khuli aankhen to kandhon par kitabon se bhara basta
laDakpan ab kahan titli pakaDne ki hikayat hai
kai sadiyan ganwa din hum ne kam-koshi ki rahat mein
bahut hi dukh bhari apne bichhaDne ki hikayat hai
parai KHak ne un par kahin banhen na phailain
ye hijrat ka safar jaD se ukhaDne ki hikayat hai
qadam kab tak jame rahte mere sailab ki zad mein
meri be-chaargi tinke pakaDne ki hikayat hai
Ghazal
Ba-zahir ye wahi milne bichhaDne ki hikayat hai
Arman Najmi