اردو हिंदी
Ba-zahir tujhse milne ka koi imkan nahin hai | Shaahi Shayari
ba-zahir tujhse milne ka koi imkan nahin hai

Ghazal

Ba-zahir tujhse milne ka koi imkan nahin hai

Bushra Farrukh

;

ba-zahir tujh se milne ka koi imkan nahin hai
dilason se bahalta ye dil-e-nadan nahin hai

chaman mein lakh bhi barse agar abr-e-bahaaran
to naKHl-e-dil hara hone ka kuchh imkan nahin hai

hawa-e-waqt ne jis basti-e-dil ko ujaDa hai
use aabaad karna kaam kuchh aasan nahin hai

wo ek diwar hai hail hamare darmiyan jo
kisi rauzan ka us mein ab koi imkan nahin hai

agarche kha gai dimak ghamon ki baam-o-dar ko
magar TuTi abhi tak ye fasil-e-jaan nahin hai

tumhaari ruh 'bushra' qaid hai tan ke qafas mein
ise aazad karna moajaza aasan nahin hai