ba-zahir to badan-bhar ka ilaqa gher rakkha hai
magar andar se hum ne shahr sara gher rakkha hai
main paspa fauj-e-dil ka aaKHiri zaKHmi sipahi hun
magar ek umr se dushman ko tanha gher rakkha hai
kabhi is raushni ki qaid se bahar bhi niklo tum
hujum-e-husn ne sara sarapa gher rakkha hai
musibat mein paDa hai in dinon mera dil-e-wahshi
samajh kar shahr walon ne darinda gher rakkha hai
mohabbat ka KHuda hun main magar aisa KHuda jis ne
baDi mushkil se apna ek banda gher rakkha hai
bahut pahle kabhi paida hue aur mar gae the hum
isi mazi ne mustaqbil hamara gher rakkha hai
koi iman wala ahl-e-masjid se kahe ja kar
KHuda ko kyun unhonne kafirana gher rakkha hai
chalo hum farhat-'ehsas' apna masjid se chhuDa laen
KHuda walon ne ek kafir hamara gher rakkha hai
Ghazal
Ba-zahir to badan-bhar ka ilaqa gher rakkha hai
Farhat Ehsas

