ba-zahir kya hai jo hasil nahin hai
magar ye to meri manzil nahin hai
ye tuda ret ka hai beach dariya
ye bah jaega ye sahil nahin hai
bahut aasan hai pahchan us ki
agar dukhta nahin to dil nahin hai
musafir wo ajab hai karwan mein
ki jo hamrah hai shamil nahin hai
bas ek maqtul hi maqtul kab hai
bas ek qatil hi to qatil nahin hai
kabhi to raat ko tum raat kah do
ye kaam itna bhi ab mushkil nahin hai
Ghazal
Ba-zahir kya hai jo hasil nahin hai
Javed Akhtar