ba-zahir jo nazar aate ho tum masrur aisa kaise karte ho
batana to sahi virani-e-dil ka nazara kaise karte ho
tumhaari ek ada to waqai tarif ke qabil hai jaan-e-man
main shashdar hun ki us ko pyar itna be-tahasha kaise karte ho
suna hai log dariya band kar lete hain kuze mein hunar hai ye
magar tum munsifi se ye kaho qatre ko dajla kaise karte ho
hamari baat par wo kan dharta hi nahin hai Tal jata hai
tumhein kya kya nahin hasil kaho arz-e-tamanna kaise karte ho
tajjub hai talluq yaad rakhna aur phir aaram se sona
agar us ko bhula pae nahin ab tak sawera kaise karte ho
tumhaari aah ka ye kaun sa andaz hai wazeh nahin hota
muamma ye nahin khulta ki tum dariya ko sahra kaise karte ho
Ghazal
Ba-zahir jo nazar aate ho tum masrur aisa kaise karte ho
Siraj Ajmali