اردو हिंदी
Ba wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte | Shaahi Shayari
ba wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte

Ghazal

Ba wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte

Ahmad Riyaz

;

ba wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte
farogh-e-qamat-o-ruKH ki sana nahin karte

shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain
hum intiha-e-sitam ka gila nahin karte

kuchh is tarah se luTi hai mata-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-wafa nahin karte

isi liye hain saza-war jaur-e-barq-e-sitam
ki haqq-e-KHidmat-e-gulchin ada nahin karte

mazaq-e-kohkani ho ki dasht-paimai
jinhen tumhaari talab ho wo kya nahin karte

wo aashna-e-gham-e-kainat kya honge
jo KHud ko aap ka dard-ashna nahin karte

gham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauran
kisi maqam pe hum ji bura nahin karte