اردو हिंदी
Ba-tarz-e-KHwa sajaani paDi hai aaKHir-kar | Shaahi Shayari
ba-tarz-e-KHwa sajaani paDi hai aaKHir-kar

Ghazal

Ba-tarz-e-KHwa sajaani paDi hai aaKHir-kar

Daniyal Tareer

;

ba-tarz-e-KHwa sajaani paDi hai aaKHir-kar
nai zamin banani paDi hai aaKHir-kar

tapish ne jis ki mujhe kimiya banana tha
mujhe wo aag bujhani paDi hai aaKHir-kar

bahut dinon se ye miTTi paDi thi ek jagah
har ek samt uDani paDi hai aaKHir-kar

jahan pe qasr banae gae the kaghaz ke
wahan se rakh uThani paDi hai aaKHir-kar

wo panw bhige hue dekhne ki KHwahish mein
chaman mein os bichhani paDi hai aaKHir-kar

mere badan ki ziya baDh gai thi suraj se
lahu mein raat milani paDi hai aaKHir-kar

zamin pe dagh bahut paD gae the KHun ke dagh
falak ko barf girani paDi hai aaKHir-kar