اردو हिंदी
Ba-rang-e-sabza unhi sahilon pe jam jaen | Shaahi Shayari
ba-rang-e-sabza unhi sahilon pe jam jaen

Ghazal

Ba-rang-e-sabza unhi sahilon pe jam jaen

Farhat Ehsas

;

ba-rang-e-sabza unhi sahilon pe jam jaen
rawan hue the jahan se wahin pe tham jaen

hum us ke pas se aaen wajud se bhar kar
pa shart hai ki wahan surat-e-adam jaen

wo be-panah KHamoshi talab kare ek bar
to bar bar naya lafz ban ke hum jaen

moamla to ye fauri amal ka hai phir bhi
meri sunen to abhi thoDi der tham jaen

faraKH dil hai bahut wo magar miyan-'ehsas'
ziyaada milta hai utna hi jitna kam jaen