ba-rang-e-nikhat-e-gul hai chaman mein aashiyan apna
kisi ke raazdan hum hain na koi raaz-dan apna
chale to ja rahe hain kya bataen kal kahan honge
KHuda malum kis manzil pe Thahre karwan apna
yahi achchha hua mahfil mein teri chup rahe warna
gham-e-dil ki kahani aur phir tarz-e-bayan apna
supurd-e-ishq hum to kar chuke sarmaya-e-hasti
jo ahl-e-hosh hain socha karen sud-o-ziyan apna
hua hi chahti hai sham bhi ab subh piri ki
magar ab tak to hai pahlu mein 'qaisar' dil jawan apna
Ghazal
Ba-rang-e-nikhat-e-gul hai chaman mein aashiyan apna
Qaisar Umrao Tovi