ba-rang-e-naghma bikhar jaana chahte hain hum
kisi ke dil mein utar jaana chahte hain hum
zamana aur abhi Thokaren lagae hamein
abhi kuchh aur sanwar jaana chahte hain hum
usi taraf hamein jaane se rokta hai koi
wo ek samt jidhar jaana chahte hain hum
wahan hamara koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaana chahte hain hum
nadi ke par khaDa hai koi charagh liye
nadi ke par utar jaana chahte hain hum
unhen bhi jine ke kuchh tajrabe hue honge
jo kah rahe hain ki mar jaana chahte hain hum
kuchh is ada se ki koi charagh bhi na bujhe
hawa ki tarah guzar jaana chahte hain hum
ziyaada umr to hoti nahin gulon ki magar
gulon ki tarah nikhar jaana chahte hain hum
Ghazal
Ba-rang-e-naghma bikhar jaana chahte hain hum
Wali Aasi