ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai
wo jaise yaad-e-mazafat mein chhupa sa hai
kabhi talash kiya to wahin mila hai wo
nafas ki aamad-o-shud mein jahan KHala sa hai
ye tare kis liye aanhken bichhae baiThe hain
hamein to jagte rahne ka aariza sa hai
ye kaenat agar waisi ho to kya hoga
hamare zehn mein KHaka jo ek bana sa hai
zamin madar pe raqsan hai subh o sham mudam
kure ke chaar taraf ek muhasara sa hai

Ghazal
Ba-rah-e-rast nahin phir bhi rabta sa hai
Shahram Sarmadi