ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi
ki inqalab ke parde mein aa raha hai koi
KHudi ko rah-e-KHudai pe la raha hai koi
abhi dimagh-e-bashar aazma raha hai koi
jahan KHaraba-e-hasti miTa raha hai koi
wahin kahin nai duniya bana raha hai koi
abhi naqab-kushai-e-husn hai dushwar
wahi uThe hue parde uTha raha hai koi
jo zehn mein hai wo taswir ban nahin chukti
bana bana ke hayule miTa raha hai koi
bhula raha hai kisi ko tu bar-bina-e-maal
ye ghaur kar ki bhulaya bhi ja raha hai koi
dil-e-fasurda ki baaton pe ye tabassum-e-naz
kali ko phul banana sikha raha hai koi
wafa ki dad hai kotahi-e-wafa ki dalil
main jaanta hun ki himmat baDha raha hai koi
hadis-e-kohna hai rudad-e-inqilab-e-chaman
suni hui si kahani suna raha hai koi
meri wafaon ka hai e'tiraf mere baad
KHosha-nasib mujhe kho ke pa raha hai koi
hai apne sae se wahshat mein kis qadar taskin
samajh raha hun mere sath aa raha hai koi
nasib-e-zauq ho 'simab' qismat-e-musa
hamein bhi tur ki jaanib bula raha hai koi
Ghazal
Ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi
Seemab Akbarabadi