ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi Dhana nahin aata
wo kya taskin denge jin ko taDpana nahin aata
baqa-e-jawedan ke raaz se waqif nahin ai dil
jinhen rah-e-wafa mein KHak ho jaana nahin aata
badalte rahiye unwan sharh-e-rudad-e-mohabbat ke
kisi surat tamami par ye afsana nahin aata
gira de qasr-e-istibdad jo ek nara-e-hu hai
nazar aisa koi bhi aaj diwana nahin aata
Ghazal
Ba-qadr-e-hasrat-e-dil zulm bhi Dhana nahin aata
Rashid Shahjahanpuri