ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charagh
meri nigah farozan hui hai ban ke charagh
hazar baad-e-hawadis hazar sarsar-e-gham
jala raha hun magar azmat-e-chaman ke charagh
nuqush-e-shahr-e-nigaran ubhaarte hi rahe
mere junun ke ujale teri lagan ke charagh
sawad-e-asr mein farda ki tabnaki hai
bujha diye gae andesha-e-kuhan ke charagh
hujum-e-gham mein hua tha ye kaun naghma-sara
jali hai tirgi-e-sham dard ban ke charagh
na baad-e-dasht-o-bayaban na sham-e-ranj-o-bala
lahu se apne jalate hain ham-watan ke charagh
jilau mein tabish-e-qindil-e-agahi le kar
bujha diye hain mohabbat ne ahrman ke charagh
zamana sham-e-bala se sawal karta hai
kidhar gae wo tere daur-e-pur-fitan ke charagh
sharar-e-nutq hua sarf-e-har-KHayal 'uruj'
jale to bujh na sake shoKHi-e-suKHan ke charagh
Ghazal
Ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charagh
Abdur Rauf Urooj