ba-pas-e-ehtiyat-e-arzu ye bar-ha hua
nikal gaya qarib se wo haal puchhta hua
hijab-e-ruKH lahak uTha agar bahut KHafa hua
jabhi to hum se pai-ba-pai qusur-e-muddaa hua
shikayat-e-adm-e-tawajjohi baja sahi magar
nasib-e-ahl-e-anjuman nahin hai dil dukha hua
amin-e-raaz-e-gham nahin hain dar-KHor-e-sitam nahin
palaT rahe hain aap hi pe aap ka kaha hua
uThengi meri wajh se jab aap par bhi ungliyan
kahenge phir to aap bhi ki waqai bura hua
hujum-e-ma-siwa se bach ke manzil-e-murad tak
pahunch gaya hun rahzanon se rah puchhta hua
kabhi kabhi KHulus-e-be-talluqi bhi chahiye
nigah main ne pher li to us ka samna hua
zamana-e-ubur-e-inqalab ki bhi umr hai
na shaKH-e-ashiyan rahi na aashiyan jala hua
nahin kuchh is se muKHtalif giroh-e-bazm-e-raqs-o-mai
nikal gaya jo gulsitan mein KHwab dekhta hua
ye kawish-e-umid-o-bim bhi hai lazzat-afrin
nazar udhar jami hui naqab-e-ruKH uTha hua
ghalat-bayaniyon ke ahd-e-nau mein 'shad' aarfi
mera kamal-e-fan ye hai ki sirf majra hua
Ghazal
Ba-pas-e-ehtiyat-e-arzu ye bar-ha hua
Shaad Aarfi