ba-nam-e-paikar-KHaki na gard ban jao
miyan-e-shahr na sahra-naward ban jao
bagula ban ke uTho baiTh jao ban ke ghubar
bikhar ke hasil-e-sahra-e-gard ban jao
hai ijtima-e-anasir se zindagi ki numud
aur iqtaza-e-qaza fard fard ban jao
rag-e-hayat ko garmao garmi-e-KHun se
ye kya ki waqt-e-amal jism-e-sard ban jao
nigar-KHana-e-hasti ka sath do 'raunaq'
KHushi ke samne taswir-e-dard ban jao

Ghazal
Ba-nam-e-paikar-KHaki na gard ban jao
Raunaq Deccani