ba-KHuda ishq ka aazar bura hota hai
rog chahat ka bura pyar bura hota hai
jaan pe aa banti hai jab koi hasin banta hai
hae mashuq-e-tarahdar bura hota hai
ye wo kanTa hai nikalta nahin chubh kar dil se
KHalish-e-ishq ka aazar bura hota hai
TuT paDta hai falak sar pe shab-e-furqat mein
shikwa-e-charKH-e-sitamgar bura hota hai
aa hi jati hai hasinon pe tabiat naseh
sach to ye hai ki dil-e-zar bura hota hai
Ghazal
Ba-KHuda ishq ka aazar bura hota hai
Suroor Jahanabadi