ba-KHuda hain teri hindu but mai-KHwar aankhen
nashshe ki Dori nahin pahnen hain zunnar aankhen
nazr-e-dil mangti hain aap ki sarshaar aankhen
ain masti mein raha karti hain hoshiyar aankhen
mujh ko nazzara hai is parda-nashin ka manzur
kash ban jaen meri rauzan-e-diwar aankhen
chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se
teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen
chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam
ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen
dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab
aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen
shoKH-chashmi se chakaron ko wo dhamkati hain
dekhna hum se milana na KHabar-dar aankhen
tak lete hain nazar-baz hain hum bhi sahab
dil churaya hai churaate ho jo har bar aankhen
pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain
dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen
chum lete hain wo aaine mein aankhen apni
lab masihai karenge ki hain bimar aankhen
chashm-e-baddur hai kajal bhi to manzur-e-nazar
kyun nazar ho gai kyun ho gain bimar aankhen
ruKH-e-sayyaad jo dekha hai to ab dekh ke gul
band kar lete hain murghan-e-giraftar aankhen
ban gae panja-e-mizhgan bhi meri dast-e-dua
dekh rakhti hain na kuchh hasrat-e-didar aankhen
dast-e-wahshat mein ghazalon ko taka karta hun
raat-din pesh-e-nazar hain teri ai yar aankhen
ye mera daman-e-tar daman-e-gulchin hoga
rang laengi abhi to meri KHun-bar aankhen
murgh-e-dil us se kisi tarah nahin bach sakta
kahin shahin shikari si hain tayyar aankhen
chashm-e-maKHmur mein saqi ki ye kaifiyyat hai
nashsha maston ke do-baala hon jo hon chaar-ankhen
chahiye hazrat-e-musa ke liye jalwa-e-tur
tere didar ki hain apni saza-war aankhen
aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi
DhunDha karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen
Ghazal
Ba-KHuda hain teri hindu but mai-KHwar aankhen
Hatim Ali Mehr