ba-juz saya tan-e-laghar ko mere koi kya samjhe
meri surat ko mahfil mein wo naqsh-e-boriya samjhe
hum us ko apne haq mein aafat-e-jaan aur bala samjhe
butan-e-be-wafa hain jin ko ek apni ada samjhe
koi kya KHak raaz-e-mushkil-e-zat-e-KHuda samjhe
agar nur-e-KHuda ko zat-e-insan se juda samjhe
wahan ja kar kare gar qatl tu bimar-e-hijran ko
tere kuche ko apne haq mein wo darushshifa samjhe
siyah-baKHti pe saya gar ho teri zulf-e-shab-gun ka
use wo apne sar pe saya-e-baal-e-huma samjhe
wahi karta hai insan kaam jo qismat karaati hai
koi chahe use samjhe rawa ya narawa samjhe
laTakte dekha sine par jo tere tar-e-gesu ko
use diwane wahshat mein tera band-e-qaba samjhe
na hargiz KHun rulae bulbulon ko bagh mein ai gul
jo apne husn ko tu tair-e-rang-e-hina samjhe
tere aaina-e-ruKH ko sikandar dekhne aaya
teri mahfil mein hum us ko gada-e-be-nawa samjhe
koi kya jaanta hai kis qadar bose liye hum ne
samajhte hain hum us ko ya hamara dil-ruba samjhe
buton se hum ne joDa rishta-e-dil ko wo kafir hai
agar is rishta ko koi hamare narawa samjhe
tu ja kar chheD gul ko ya kisi ki zulf-e-pechan ko
chal ai baad-e-saba tu kya meri naz-o-ada samjhe
kabhi baiTha bhi gar dekha unhon ne apne kuche mein
tan-e-laghar ko mere wo kisi ka naqsh-e-pa samjhe
bayaban mein jo aaya koi jhonka baad-e-sar-sar ka
teri hum sard-mehri se nasim-e-jaan-faza samjhe
wahi hain hum banaya jo hamein haq ne nahin parwa
koi hum ko bura samjhe koi hum ko bhala samjhe
bhale ko gar bura samjhe na hargiz wo bura hoga
bhala is mein bura kya hai bure ko gar bura samjhe
hai insan ke liye lazim jahan mein dekh kar chalna
wo hai haiwan na dil mein jo zamane ki hawa samjhe
agar us ne kabhi toDa hamare gauhar-e-dil ko
hum us ke haq mein us ke TuTne ko momiya samjhe
pighal kar shama KHud parwana ko pahle jalati hai
kisi ke mom hone ko na koi momiya samjhe
gareban hum ne dikhlaya unhon ne zulf dikhlai
hamara samjhe wo matlab hum un ka muddaa samjhe
KHuda ko samjhe tum patthar jo patthar ko KHuda samjhe
agar samjhe use patthar to phir tum us ko kya samjhe
tariq-e-KHaksari sullam-e-baam-e-buzurgi hai
usi ko 'mashriqi' insan jahan mein kimiya samjhe
Ghazal
Ba-juz saya tan-e-laghar ko mere koi kya samjhe
Sardar Genda Singh Mashriqi