ba-juz mata-e-dil-e-laKHt-laKHt kuchh bhi nahin
meri nigah mein tadbir-o-baKHt kuchh bhi nahin
guzarte waqt ki surat harif bhi na rahe
buri nigah na lahje karaKHt kuchh bhi nahin
masafaton ki ghani dhup mein hain tanha hum
hamari rah mein sae daraKHt kuchh bhi nahin
main naqsh-o-rang ki duniya luTa ke aaya hun
meri nigah main ab taj-o-taKHt kuchh bhi nahin
hamein 'rais' jo luTe to koi kya luTe
hamare pas to ab saz-o-raKHt kuchh bhi nahin

Ghazal
Ba-juz mata-e-dil-e-laKHt-laKHt kuchh bhi nahin
Raeesuddin Raees