اردو हिंदी
Ba-juz KHayal-e-gham-e-mohabbat koi mera ham-safar nahin hai | Shaahi Shayari
ba-juz KHayal-e-gham-e-mohabbat koi mera ham-safar nahin hai

Ghazal

Ba-juz KHayal-e-gham-e-mohabbat koi mera ham-safar nahin hai

Gauhar Usmani

;

ba-juz KHayal-e-gham-e-mohabbat koi mera ham-safar nahin hai
main ab wahan se guzar raha hun jahan kisi ka guzar nahin hai

alam bhi kab sath chhoD jae kisi ko us ki KHabar nahin hai
bahaar to phir bahaar Thahri KHizan bhi ab mo'atabar nahin hai

fazaen nikhat mein Dhal rahi hain wafa ka iqrar ho raha hai
KHud apne jalwon mein wo bhi gum hain hamein bhi apni KHabar nahin hai

mujhe haqiqat se wasta hai naqib-e-fitrat hun main azal se
KHizan ko fasl-e-bahaar kah dun ye mera zarf-e-nazar nahin hai