ba-in qaid-e-KHamoshi bhi ghazal-KHwan hama-tan hum hain
na paband-e-zaban hum hain na majbur-e-suKHan hum hain
gulistan mein sharik-e-sohbat-e-ahl-e-chaman hum hain
bas itni baat par kyun qabil-e-dar-o-rasan hum hain
jawab-e-zulm deti ja rahi hai apni mazlumi
idhar talwar rangin hai udhar rangin-kafan hum hain
KHizan se kab ki buniyaad-e-gulistan gir chuki hoti
magar ye KHairiyat hai zer-e-diwar-e-chaman hum hain
nasheman phunk kar samjhen ki sab kuchh phunk Dala hai
hijab-e-gul mein baiThe bijliyon par KHanda-zan hum hain
agarche bazm mein hum bhi hain lekin farq kitna hai
waqar-e-anjuman tum ho wabaal-e-anjuman hum hain
Ghazal
Ba-in qaid-e-KHamoshi bhi ghazal-KHwan hama-tan hum hain
Kaleem Aajiz