ba-har-tariq use mismar karte rahna hai
kabhi suKHan to kabhi war karte rahna hai
daron ke waste diwar chahiye jaanan
so farsh-e-KHwab ko diwar karte rahna hai
sahar ke marka-e-nel-o-bad se kya matlab
hamara kaam to bedar karte rahna hai
wo ek dard jo saiqal nahin hua ab tak
usi ko aaina-e-yar karte rahna hai
yahi hai wirsa-e-shabbir ka chalan 'arshad'
ki har yazid se inkar karte rahna hai
Ghazal
Ba-har-tariq use mismar karte rahna hai
Arshad Abdul Hamid