ba-har-alam barabar likh raha hun
main pyasa hun samundar likh raha hun
sadaf andar sadaf the jo maani
unhen gauhar-ba-gauhar likh raha hun
nahin ye shairi hargiz nahin hai
main KHud apna muqaddar likh raha hun
har ek tifl-e-qalam ye sochta hai
main kal duniya se behtar likh raha hun
nazar aati nahin jo dil ki duniya
use manzar-ba-manzar likh raha hun
mai-lab se mujhe KHush karne walo
tumhaare nam kausar likh raha hun
jo masti hai mera maqsum 'sahba'
use saghar-ba-saghar likh raha hun
Ghazal
Ba-har-alam barabar likh raha hun
Sahba Akhtar