اردو हिंदी
Ba-fart-e-shauq har gul mein tere ruKH ki ziya samjhe | Shaahi Shayari
ba-fart-e-shauq har gul mein tere ruKH ki ziya samjhe

Ghazal

Ba-fart-e-shauq har gul mein tere ruKH ki ziya samjhe

Jauhar Zahiri

;

ba-fart-e-shauq har gul mein tere ruKH ki ziya samjhe
agar chaTka koi ghuncha to hum teri sada samjhe

hamein dekho ki kab hum ne bina-e-ashiyan Dali
muKHalif apne jab sare gulistan ki faza samjhe

bil-aKHir aaj mera zabt-e-ulfat rang le aaya
mujhe hi jaannisar-e-ishq-o-jaanbaz-e-wafa samjhe

hamare pas aaya hai moattar jab koi jhonka
use hum be-takalluf tere daman ki hawa samjhe

hamein le aaya is manzil mein tere ishq ka jazba
ki hum har ek zarra mazhar-e-shan-e-KHuda samjhe

samajh se dur hai jaan-dadgan-e-ishq ki manzil
fana ki god mein sarmaya-e-raaz-e-baqa samjhe

na hoga koi hum sa rahraw-e-rah-e-wafa 'jauhar'
hum is manzil ki har aafat ko saman-e-baqa samjhe