اردو हिंदी
Ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya | Shaahi Shayari
ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya

Ghazal

Ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya

Anjum Khaleeq

;

ba-faiz-e-agahi ye kya azab dekh liya
ki KHud hi apne kiye ka hisab dekh liya

ye nasl nasl masafat bahal rahi hai yunhi
sarab jagte sote mein KHwab dekh liya

dilon ki tirgi dhone ko log uThe hain jab
chhaton par utra hua aaftab dekh liya

saron se taj baDe jism se abaen baDi
zamane hum ne tera intiKHab dekh liya

wo faKHta jise lana tha amn ka paigham
uDi nahin thi ki us ne uqab dekh liya

kabhi wo khul ke kabhi sarsari mila hum se
kabhi hilal kabhi mahtab dekh liya

kitab paDhne ki fursat yahan kise 'anjum'
bahut hua to faqat intisab dekh liya