ba-faiz-e-agahi hai muddaa sanjida sanjida
KHudi ne wa kiye hain raaz kya pechida pechida
nazar hairan tabiat hai zara ranjida ranjida
hua dil hai kisi ka mubtala poshida poshida
fazaon se fasana sun ke us ke dard-e-hijran ka
gulon ne chun liye ashk-e-saba larzida larzida
isi mast-e-jawani ke qadam baDh kar liye honge
chaman mein chal rahi hai jo saba laghzida laghzida
Thahar jae na ghabra kar kahin ye qafila dil ka
meri jaanib nazar phir se uTha duzdida duzdida
'jamil'-e-zar ka hai ye nishan ai gulistan walo
jawan himmat pareshan-haal sa kahida kahida
Ghazal
Ba-faiz-e-agahi hai muddaa sanjida sanjida
Syed Jameel Madni